Laal dupatta ud gaya re bairi hawa ke jhonke se - 2
Mujhko piya ne dekh liya haai re dhoke se
Manaake mujhe dil dega voh, magar meri jaan lega voh - 2
Laal dupatta
Arre laal dupatta ud gaya re tera hawa ke jhonke se
Laal dupatta ud gaya re tera hawa ke jhonke se
Tujhko piya ne dekh liya haai re dhoke se
Manaake tujhe dil dega voh, magar apni jaan dega voh - 2
Oh oh oh oh oh
Hey hey hey hey, la la la la la
Laakh chhupaaye baithi thi main apne chaand se chehre ko
Ek pal mein hi tod diya bairan hawa ne pehre ko
Ho, tere chehre ka jaana kuch aisa jaadu chhaa gaya
Mere chaand ko dekhkar chaand bhi sharma gaya
Mujhe sharm si aaye, o mera dil ghabraaye
Arre aa baahon mein chook na jaaye aise mauke se
Tujhko piya ne dekh liya haai re dhoke se
Manaake tujhe dil dega voh, magar apni jaan dega voh
Manaake mujhe dil dega voh, magar meri jaan lega voh
Haai maheka maheka yeh sama kehne laga aa pyaar kar
Mere sone yaar tu dilbar se ikraar kar
Ho, tere pyaar ki khushboo meri saanson mein sama gayi
Le sajna sab chhod main tere peechhe peechhe aa gayi
Tujhe pyaar ho gaya, ikraar ho gaya
Arre ab to roke na rukoon main kisi ke roke se
Mujhko piya ne dekh liya haai re dhoke se
Manaake mujhe dil dega voh, magar meri jaan lega voh
Manaake tujhe dil dega voh, magar apni jaan dega voh
Laal dupatta ud gaya re bairi hawa ke jhonke se
Hoye, laal dupatta ud gaya re tera hawa ke jhonke se
Tujhko piya ne dekh liya haai re dhoke se
Manaake mujhe dil dega voh, magar meri jaan lega voh
0 comments:
Post a Comment
# Please correct lyrics @ comment box if the lyrics are wrong. Thx!